Search Suggest

How to create a new Gmail account - 3 Easy step by step full Guideline

naya gmail account banaye,create new gmail account,add account in gmail,create email account,google account,email id new account,email sign up,gmail mail,crater gmail
Naya Gmail Account kaise banaye - How to create a new Gmail account - step by step full Guideline

hello... Friends

                               Aaj Ham Gmail Account kase create karte hai iske bare me janenge. Dosto Aaj ke is Internet ke Samay me Bhi Aapka Agar koi Gmail Account Nahi hai to ye Bahot Hi Buri bat hai. Kyoki Aj kal to Internet Ya online kisi bhi kam ke liye Gmail Account ki jarurat hoti hai. To yaar aise time me Apna ek Gmail Account to hona banta hai.. 

Dosto Ham Naya Gmail Account Banana sikhe isse pahle me Aapko Gmail ke bareme Ya uske Upayog ke bareme thodi bat karunga kyoki Ye janana to bahot jaruri hai ki Gmail Account Banaliya par uska use kya hai. ham apne Gmail Account se kya kya kar sakte hai ? To Chaliye dekhte hai..
Create New Gmail Account

Gmail Account Kya Hai Aur Uska Upayog Kya hai ?


Gmail Account Google Ki harek Product Ke liye Aapka All in one Id Hai. G ha dosto Aap Sirf Apne Ek Gmail Id sehi Google ki sari product ko use kar sakte hai. Aapne Apna ek Gmail Id bana liya to Aap Google ki Kisibhi Application Ko usse login kar sakte hai ya Google ki kisibhi Online services ko free me use kar sakte hai. Apko Fir kisi bhi Account ko banane ki jarurat nahi hoti. Kyoki Google Apni Har services ke liye sirf Ek Gmail Id se hi Apko sari suvidhaye free me de deta hai. Aur Google Ki Online Kitni Suvidhaye hai Is bareme Janna chahte ho to Is post ko padh lo : Google ki Online Services. 

Example Of Gmail : rakeshrathod555@gmail.com  ye mera Gmail Id hai.

To chaliye Dosto hamne Gmail Aur Uske Upayog ke bareme to jan liya Ab Apna ek Gmail Id bana lete hai. Aap niche bataye gaye step Follow kare Aur Apna Gmail bana lijiye.

 Gmail account Kaise banaye :

   Gmail Account banana to bahot hi simple hai Aap sirf Niche bataye Gaye step dekhe aur Apna Gmail Account Bana le.

Agar Isme Apko koi samasya ho to Aap muje comment likhe Mai Aapko puri help karunga.

Step 1 : 

        ➧ Sabse Pahle Apne mobile Ya Computer ke Web Browser me jaye Aur Usme Gmail.com likhe Aur search karle

                 Ab Yaha Apko Create Account Ka option Milega Uspar click kare. 

Yaha Ab Apke samne naya Windows Open hoga Jisme Aapko Apni sari Detail Dhyan se bharni hai. yad rahe yaha Apna name, surname, Aur sabse important Apne Gmail Account Ka Id Name likhna hai Aur Ha ise Aap fir Change Nahi kar sakoge to ye jara sochke Dhyan se likhe Jo Aap Apna Id name  rakhna chahte ho. Ye Aap Apni Marji ke mutabik Kuch bhi rakh sakte hai. iske liye niche di gai photo ko dekhe. 
Naya Gmail Account Banaye

Step 2 : 

 Ab jaise hi Aap next par click karenge Apke samne ek naya window open hoga isme aapko apna mobile number likhna hai, iske bad apne Gmail id ke recovery ke liye ek Gmail Address likhna hai ( ye optional hai agar apko nahi likhna hai ti na likhe ) ikhebad 3 line me Aapko Apna birth-date likhna hai ( 1- date, 2 - month, 3 - years) 

Sari information barabar likhne ke bad niche diye hue Next par click kare.   

Naya Gmail Account Banaye

Step 3 :

 upar ki Image me dataye gaye sare step follow karne ke bad Ab last step baki hai iske bad Aapka Gmail Id ready ho jayega.

niche di gai Image ko Thik se dekhe

Sari detail bharne ke baad Ab Aapko yaha Gmail Apni Privacy and Terms dikhayega. Agar Aap ise padhna chahte hai to padh sakte hai. varna ye kuch jaruri nahi hai.

yaha ek bat bata du ki kabhi kabhi Gmail Aapko apna mobile Number verification bhi mag sakta hai. to Aap yaha apna mobile Number likhle. iske bad last me diya hua i agree par click kar lijiye.

 so its done.. Aapka Gmail Account ready hai. Aap sidhe Apne Account me login ho sakte hai Aur yaha se kaam kar sakte hai. 

Agar Aapko fir bhi koi Problems hai to  niche diye gaye comment box me comment kar sakte hai.
Naya Gmail Account Banaye
Dear friend,

           yaha blogging se related sari information di gai hai. Aap online paise kamana chahte hai to Aap saji jagah par hai. yaha Aapko iske liye sari jankari Aur help bhi Free mai milegi.

Vaise to online paise kamane ke bahot sare raste hai.

1.  Aap Applications install karke paise kama sakte hai.
2. YouTube chanel banakar usme video upload karke paise kama sakte hai
3. Apna ek blog banakar Usse paise kama sakte hai.
4. Online marketing Company se jud kar paise kama sakte hai.
5. online Data entry, jaisa kam karke bhi aap achcha paisa kama sakte hai.
 iske liye Aap hamare in sabke bareme post padh sakte hai.

 Agar Aap koi blog chalate hai ya Apna naya blog banana chahte hai to yaha aapko sari help Free mai milegi. Iske liye Aap hamari blogging se related post dekh sakte hai.