Join Us !

How to Create a Beautiful Blog - Your Own

   How to Create a Beautiful Blog - Your Own : step by step Full Guideline, Apna Khud ka Ek Badhiya Aur Khubsurat blog kaise Banaye, How to Build a Beautiful Blog, how to create a beauty blog or makeup website resources and step by step instructions.

How to Create a Beautiful Blog - Your Own

How to Create a Beautiful Blog - Your Own

From : RDRathod.in

Hello... Friends
                        Blog Yani Online Internet par Aapki Apni Ek Badhiya si Website Kaise Banaye.. ? Ji ha Dosto, Shayad Apne Blog ke Bare me to suna hi Hoga Aur Agar nahi to Website ke bareme to 100 % suna hoga. to Dosto Aap blog Ya Website ke Bareme Jante Ho Ya nhi Jante ho  to Aaj Janlo. To Chaliye Aaj Hi Ham Ek Badhiya Aur Khubsurat Blog Kaise banaye ? Iske bare me Jante Hai. Ise Janne ke Bad Aap Bhi Kahenge Ki " Are Yar Yeto Mai Bhi kar Sakta hu...! Yaar Ye to kitna Easy Hai. Aur Aap bhi Apna Blog 100 % Aaj hi Bana denge.. To Chaliye sikhte hai. Is Se pahele Aapke Manme Kuch Saval Hoge To Ham Yaha Pahle Apke Un Savalo ko hi Dekh lete hai..

Q.1 :
        Dosto Shayad Aap sochte honge Ki Are Yaar Blog Banane ke Liye to Kharcha Hoga.. To Aap Bilkul Galat Sochte ho yaar. Kyuki Blog Banane ke liye Koi Khrcha Nahi hota.. Ye bilkul Free hai dosto.. 1 rs. Bhi isme Kharcha nahi hai..

Q.2 :
       Ab Dusri Baat Ki Aap Kahenge Ki "Blog ke liye to Ek Computer Chahiye Aur Badhiya Sa Internet Bhi Aur voh to hamare pass nahi hai.. to dosto Aapka ye sochna bhi galat hai.. Kyuki Blog Banane ke Liye Computer ki koi jarurat nahi hai. Ji ha Dosto Kyoki Aap Apne Mobile se bhi Ek Badhiya Blog Bana sakte Hai..

Q.3 :
         Ab Shayad Aap Sochte Honge Ki Are Yar muje To Blog Me Kya karna Hai ?, Kaise Karna Hai ? Ye Kuch bhi Nahi Aata Hai.. To Chinta Chodo Yaar - Aap Facebook To Use Karte Hi honge.. Agar Ha to Vah Bhi to Ek Blog Hi hai yaar. Usi tarah Us Facebook ki tarah hi to Blog bhi to hota hai. Blog Aur Facebook me kuch jyada Antar nahi hota hai. bas kuchch Function alag hote hai. to vo to jab aap dekhenge to shikh hi jayenge.

To dosto Shayad Ab Aapke Manme koi Saval Nahi hoga Aur Agar Hai to Aap muje Comment Kar Sakte Hai Ya Muje Mere Mobile Number - 94291 77184 par Whatsapp kar sakte hai. mai Aapki help karunga. To chaliye Ab Aage bat karte hai.. Ab Jab Ham Blog Banana Sikhne Vale Hai to Isse Pahele Blog Ke Bareme Thoda Jan lete Hai..

Blog Kya Hai Aur Blog Kyu Banaye ? :

  Dosto Blog Online Internet Par Chalaya Jane vala ek Platform hai. Jisme Aap Apne google Account se Apna Account Banakar Apna khudka ek Platform Taiyar kar sakte hai. yaha par Aap Apne Kisi bhi bat ko Internet pe Shere kar sakte hai. Agar Apka koi Shokh Hai to Aap Uske Bareme Yaha Post likh sakte hai. Agar Aap koi Stor Chalate Hai Ya Agar App koi Selling Karte Hai to Aap Apne us Stor Ya Dhandhe ke Bare me ya Us prodect ke bareme Apne blog me Likh sakte hai. Aap Apne blog pe selling bhi kar sakte hai aur Apna Online Store Bhi bana sakte hai. Short me bat kare to Aap Apne Kisibh Shaokh ya Apne kisi bhi kam ke liye Blog Bana sakte hai. Aur Apne shokh ko pura karne ke liye ya apne dhandhe ko Market me lane ke liye, vyapar ko badhane ke liye bhi blog bana sakte hai.. Blog Kyu Banaye Is Saval ke Javab Agar Dekhe to Ye Hai.


1. Aap Agar Internet se Paise Kamana Chahte hai.
2. Agar Aap koi Online Marketing Ya Business karna chahte hai.
3. Aa Apna Name Duniya me Mashhur karna chahte hai.
4. Aap Agar koi Store Ya kampani chalate hai to Uski marketing ke liye.
5. Apna knowledge Duniya ko dikhane ke liye.

   Sabse Bada Karan to Ye hai ki Jyadattar Blog To Online Paise Kamane ke liye hi banaye Jate hai.. JI ha dosto Paise Kamane ke liye hi Bahot sare log Blog Ya Website banate hai. To Ab Apko lagta hoga ki kya Blog se Online Paise Kamana ye kaise ho sakta hai ?, Kya blog se pase kamaye ja sakte hai ?

 Yes, Dosto Blog se paise kamaye ja sakte hai.. Itna hi nahi Blog se Bahot Jyada paise kamaye ja sakte hai. Aapko yakin Nahi hoga ki Blog se Lakho rupaye kamaje Jate hai Aur bahot sare Log Blog Se lakho rupaye kama rahe hai. Agar Aap Iske Bareme Janna Chahte Hai Ki Blog Se paise Kaise Kamaye To  Yaha Click Kare : Blog Se Onli Pase Kaise Kamate Hai ? Ab Shayad Aap ke Sare Savalo ke Javab Mil Gaye honge Agar Aur koi Saval hai to vo bhi Dhire dhire Clear ho jayenge. To chaliye Ab Sikhte Hai ki Ek Khubsurat Blog kaise banaye.

Blog Banane ke Liye Kya hona Chahiye ?


 Dosto Ek Blog Banane ke liye Aapko Nahi Pase ki Jarurat Hai Aur Nahi Kisi Aur Chij ki. Bas Apke Pas Apna Gmail Account Hona Chahiye..


1.  Only Gmail Account
2. Computer Ya Laptop Agar Smart Phone (Mobile) Hai to bhi Chalega

Step 1 :

               Apna Email Id Banaye : Blog banane ke liye Aap sabse pahle to GMAIL me Apna ek Email Id bana lijiye, Kyoki Ye Aapka Email Id hi Apka Blog Ka Id hoga. Google Ka ye Email Id Apke liye sabhi Google ke Prodect ka ya sabhi suvidhao ka all in one Account hai, Aap apne is Email Id se Google kI sabhi suvidhao ko Use kar sakte hai. To Blog ke liye bhi Aapko Apna Email Id Banana Hai. Agar Aapka Pahle se hi Email Id hai to Bahot Badhiya.. Ab Aage chalte hai.

Yaha Click Kare :- Gmail me Apna Account Kaise Banaye ? / Email Id Kaise Banaye ? 

Step 2 :

             Apne Computer Ya Mobile ke Browser Me  www.blogger.com Likhe Aur search karlijiye.
How to sign in On Blogger

Step 3 :

             Ab Aap Blogger me Sign in Ho chuke ho, Iske bad Aapke samne Blogger Ka Naya windows Open hoga Jisme Ab Apko Apna Blog BAnana hai. Niche Dikhayee Gai Image ko dekhiye. Isme Aapko Apna Blog Banana Hai. Windows ki Left side Me upar Aapko New Blog likha Hua Dikhai dega uspar click kare.
Create New Blog
Step 4 :
             New Blog par click karte hi Aapke Samne Ek Naya Windows Open Hoga, Isme Aapko Step By Step Full Ditaile fill karni hai. Iske liye niche diye gaye step dekhe.

     1. Blog Title -
               Title Me Aapko Apne Blog ka name likhna hai. Jaise mere Blog Ka Name Hai RDRathod.in hai. Isi Tarah Aap Apne blog Ka Jo bhi Name Rakhna chahte hai. wo Yaha par likhe. 

     2. Blog Address - Yaha par Aapko Apne Blog Ka (URl) likhna hai. Matlab Ki Aapko Apne Blog ka Link Create karna hai. Yahi Url Aapke blog Ka Address Hoga. Jise Search Karke Log Aapke Blog par Aayenge.
             Ha Yaha par me Aapko Ye bat Bata du Ki Aap Jobhi Apne Blog ka URL likhenge Uske piche Blogspot.com Likha Hua Ayega. Kyoki ye Blogger Ka free blog hai Agar Aap Ise Hata kar Apne Blog Name ke sath .com - .in , ya Aur koi Name rakhna chahte ho to iske liye Aapko Domain kharidna padega. Iske liye  

  • Domain Kya hai ? / Domain kaise kharide ye post Padhe.
     3. Blog Template - Blog ka name Aur Address likhne ke bad Ab Aapko Apne Blog Ka Template Yani ki Design Select karna hai. Ha Ise Aap badme change bhi kar sakte hai. to koi bhi ek template select kar lijiye.

Create New Blog


Step 5 : 
             Congratulation - Create New Blog par clock karte hi Aapka naya blog Ban chuka Hai - Its ready. Ab Aapke samne Apne blog ka Dashboard Open ho jayega Aapka blog to BAn Chuka hai bas Ab Aapko isme Kam karna he- Blog me post likhana hai Aur Publish karna hai. Aur voto Aap samaj hi jayenge. jaise Aap Facebook me post likhte hai vaise hi isme bhi post likhe Aur publish karle. 

Create a post in Blog

Ab Jab Aapka blog ready hai to Isme Aap post likh sakte hai, Uske url ko bhi change kar sakte hai, chahe to template kobhi change kar sakte hai. Iske liye Yaha Blog Ki Template ko kaise change Or Upload karte hai. ye post padhle. 

To Chalo dosto Ab to Aap Blog banana Sikh hi gaye hai. to Fatafat se Ek naya blog bana lijiye Aur Apne Man pasand Blog ko Aaj hi shuru karle. Usme post likhe, publish kare Aur Apne dosto ko share kare bas Aapka kam ho gaya. 

Agar Iske bad bhi Aapko Blog banane me koi Dikkat hai ya. koi Problem Hai to Aap muje comment kare ya mere upar diye hue Whatsapp number pe bhi contact kar sakte hai.

Blog to ban chuka hai Ab Aage Kya karna hai. Iske liye Aap yah di hui Aur post padh sakte hai aur vaha se sikh sakte hai. baki to yahi hai ki Aap blog me jaise jaise kam karte jayenge vaise vaise sikhte jayenge. Agar aap Blog se related Aur jankari chahte hai to Hamari blogging se related Aur bhi post padh sakte hai aur vahase Aur bhi kuch sikh sakte hai. 

Ummid karta hu ki meri di gai jankari Aapke liye helpful hui hogi. Agar ye Jankari Apko Achchi lagi hai to niche comment box me comment karke jarur bataye. Aapka Suggestion hamare liye bahot jaruri hai. thank you .. Friends   

આ પણ જુઓ...